Contact Form

Name

Email *

Message *

Saturday, August 5, 2017

Gmail Par Email Account Kaise Banaye

Hello friends, aaj ka hamara topic he Gmail par Email Account Kaise Banaye. Aaj ki duniya mai har koi chahta hai ki uske pass ek email account ho. Sari duniya ab internet par aa gayi hai. Agar koi job ke liye apply karta hai to use email account lagta hai. Koi agar bank account banata hai to use bhi aaj kal email account lagata hai. Email account aaj kal ke jamane me ek important chij ban gayi hai. Abhi school aur colleges mai bhi padhane lage hai ki Email Id kaise banate hai.
Email Account ki jarurat
Aaj me aapko bade hi saral tarike se bataunga ki Gmail par Email account kaise banate hai or saath hi apne Email account ko safe kis tarah rakh sakte hai. Aaj kal hum jaha kahi bhi jaate hai to hum dekhte hai ki lagbhag har jagah aap se Email id maangi jaati hai, chahe wo online transaction ho, college, Banks, Government offices, jobs, marketing etc. Yaha tak ki aap jo computer, laptop, mobiles chala rahe hai unme bhi bahut saare software, Apps, registration, online shopping etc ke liye bhi Email id ki jarurat padti hai. Kul milakar ye kah sakte hai ki aaj ke yug me Email id hona bahut jaruri hai. Email account dene wali Gmail seva ke bare me hum janenge. Chalo to fir padhate he Gmail Kya hai, aur Gmail par Email Account Kaise Banaye.
Read : Increase Internet Speed – Tricks .
Google Gmail Kya Hai
Email account ek messenger hota hai jisme aap apna Account banakar apni Email id or password create kar sakte hai. Gmail ek Google ki hi service hai jiske dwara aap text, images, document and other attachment kisi dusre person ko send or receive kar sakte hai. Aapki Email id do part me hoti hai, pahli to aap jo apni id name chunte hai or dusri Google ki virtual id jo change nahi hoti hai. Ye virtual id aapki mail id ko @ se do part me baant ti hai. Aap jo apni mail id ek baar bana lete hai to wo id pure world me sirf ek hi banti hai fir koi or us naam ki same mail id nahi bana sakta, for example abcd123@gmail.com .
Gmail par hi Email Account kyo banaye
Dosto Gmail Google ki hi ek service hai jo aapko ek acchi facility or security provide karta hai. Aap chahe to Yahoo mail, hot mail, Rediff mail par bhi apna Email account banakar apni mail id bana sakte hai, lekin aap agar Gmail par hi apni Email id banate hai to aap badi hi asaani se google ki other services ka bhi use kar sakte hai. Saath hi aapko apne mobile phone me play store or other apps par bhi account banane me asaani hoti hai. Aur aap apne Google account ko mobile se connect karke Google ki bahut saari services, products, Blog etc ko bhi asaani se use kar paate hai.
Gmail account banane ke procedure
Gmail ye Google ki ek free service he jisse hum free mai hamara email account create kar sakate hai. Account banana ke liye hame jana hoga gmail ki website par jo he www.gmail.com . Pehle aap apna web browser khole. Usme www.gmail.com type kare aur wo website open kare.











No comments:

Post a Comment